Suraj dhaltaa hai
Dunia ko sir chhupaane ko
Aaram dene ko
Per fir ugtaa hai nayi subah lekar
Aasha ki kiran jagaane ko.
Jalta hai khud par
Dunia par ujiyaara karta hai
Zindagi deta hai
Saanso ko
Dhalti hui laali mein
Thandak deta hai
Jalte ehsaaso ko
Ugti hui usha mein
Jeevan ka ishaara karta hai.
Jalta to main bhi hoon
Par uske sa
Kuchh bhi nahi karta hoon
Dhota hoon udaasi ko
Din ko
Raato ko
Aasuon se pitara bharta hoon
Sochta hoon
Samajhta hoon
Par apni gehraai ko
Doosre ki unchaai mein badalne se darta hoon
Andar hi ghut-ta hoon
Fir jaane kyu
Roshni se kinaara karta hoon.
Shayad kisi ka sooraj nahi mai
Isi khaahish me
Jee-mar kar
Apni hi kashti se
Lehro mein kinara karta hoon.
Sun raha hai koi kya?
Apni hi baato mein
Yaa main bas har pal
Yu hi aahein bharta hoon?
Dum nikal nahi sakta
Ye to main jaanta hi hoon
Jaagti in raato ko
Bebas sa
Nindiyaara karta hoon..
-Himadri